Friday, June 12, 2020

SACHCHA ROGI

SACHCHA ROGI


Ek premi sa tha wo
Kabhi jogi jaisa Kabhi pagal sa.

Kya rog lagayay baitha tha
Kabhi hansta toh Kabhi hansaya karta tha.

Kabhi ansu bahayay toh Kabhi Khushi manayay
kaisay kaisay Dil behlaya karta tha.

Tha apnay aap se guftgoo karta
or khud ko hi hansaya karta tha.

Roop sunhara tha uska
Chand Kay jaisa mukhda tha uska.

Kabhi thay din sonay jaisay uskay
rateein Chand Kay manand (Jaise).

Hassay toh Mano shanayi si bjti thi
Royay toh mukamal jal thal ho jaata tha.

Kaalay Baal surkh hoont thay uskay
ankhay jaisay shabnm Kay Moti thee.

Ek din jab mulaqat hoo gayi us say
bhaees huyi takrar hui hamari.

Rooth Gaya muj se naaraz ho Gaya
phir chale Gaya naaraz ho kr naa mulaqat hui .

Thee iss pal lachari si chayee Dil pe
kya kya beeti hogi uss pr uss din.

Akhir chaltay chaltay ek din robroo hogayay
phir bayan kr dala haal apna uss ne.

Jb tum pr yeh sab beetay gee
phir yeh rog khud he samaj jaogay.

hassi hasi guzr Gaya wo waha say
Mano Dil may jaisay koi dard day Gaya.

Aaj waha may baitha hoon bay chain sa
jaha pay kal wo jogi tha.

Aaj samaj may aa  hi gaya
kis cheez ka aakhir rogi tha wo.

Ab jugesh kis ko apna rog sunayay
koi jogi toh koi pagal kehlayay.

  ~jugesh Singh Thakur

No comments:

Post a Comment